Shayari
thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
shaikh aur barhaman mein agar laag hai to ho
donon shikaar-e-ghamza usi dil-rubaa ke hain
شیخ اور برہمن میں اگر لاگ ہے تو ہو
دونوں شکار غمزہ اسی دل ربا کے ہیں
शैख़ और बरहमन में अगर लाग है तो हो
दोनों शिकार-ए-ग़म्ज़ा उसी दिल-रुबा के हैं

thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
dilbari jazb-e-mohabbat kaa karishma hai faqat
kuchh karaamat nahin jaadu nahin eajaaz nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
shaamil ho gar na gham ki khalish zindagi ke saath
rakkhe na koi rabt-e-mohabbat kisi ke saath
hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
khushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur
tumhaari baat aur hai hamaari baat aur