Shayari
bichhDe mujh se is tarah vo zindagi ke ham-safar
bujh gae hon jalte jalte jaise raste ke charaagh
teri yaadon kaa hi sarmaayaa liye baiThe hain
ham kabhi be-sar-o-saamaan na hone paae
تیری یادوں کا ہی سرمایا لئے بیٹھے ہیں
ہم کبھی بے سر و سامان نہ ہونے پائے
तेरी यादों का ही सरमाया लिए बैठे हैं
हम कभी बे-सर-ओ-सामान न होने पाए

bichhDe mujh se is tarah vo zindagi ke ham-safar
bujh gae hon jalte jalte jaise raste ke charaagh
'habib' khud hi banaaeinge roz-o-shab apne
huaa hi kyaa jo zamaane ne saath chhoD diyaa
har ik fasurda qalb pe chhaai shaguftagi
jab chhiD gai hai bazm mein us gul-badan ki baat
baDhti gaiin jafaaein jahaan raah-e-shauq mein
josh-e-junun baDhaataa gayaa tez-tar mujhe
paa ke ik teraa tabassum muskuraai kaaenaat
jhuum uTThaa vo bhi dil jiine se jo bezaar thaa
nikhat vahi surur vahi dil-kashi vahi
aamad ye aap ki hai ki jhonkaa bahaar kaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
tum parindon se ziyaada to nahin ho aazaad
shaam hone ko hai ab ghar ki taraf lauT chalo
paan khaa kar jo ugaal aap ne thukaa saahab
jauhari mahv hue laal-e-yaman yaad aayaa
is hi buniyaad par kyuun na mil jaaein ham
aap tanhaa bahut ham akele bahut
lipTaa ke shab-e-vasl vo us shokh kaa kahnaa
kuchh aur havas is se ziyaada to nahin hai