Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
jis din mai-e-alast ki mauj aa gai mujhe
rang dungaa ek rang mein saare jahaan ko mein
قدرداں کوئی ستم کا نہیں ملنے والا
عمر بھر یاد کرے گا ستم ایجاد مجھے
जिस दिन मय-ए-अलस्त की मौज आ गई मुझे
रंग दूँगा एक रंग में सारे जहाँ को में

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dard ho to davaa bhi mumkin hai
vahm ki kyaa davaa kare koi
sharbat kaa ghunT jaan ke piitaa huun khun-e-dil
gham khaate khaate munh kaa maza tak bigaD gayaa
aa rahi hai ye sadaa kaan mein viraanon se
kal ki hai baat ki aabaad the divaanon se