Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
sitam hai sitam kaaba-e-dil kaa Dhaanaa
ye kyaa kar rahe ho ye kyaa ho rahaa hai
ستم ہے ستم کعبۂ دل کا ڈھانا
یہ کیا کر رہے ہو یہ کیا ہو رہا ہے
सितम है सितम काबा-ए-दिल का ढाना
ये क्या कर रहे हो ये क्या हो रहा है

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
aa mere saath baiTh mire saath chaae pi
aa mere saath mere dalaail pe baat kar
nizaam-e-mai-kada saaqi badalne ki zarurat hai
hazaaron hain safein jin mein na mai aai na jaam aayaa
ghunghaT ulTo ki tumhein puuj ke kaafir ho jaae
dil-e-bad-bakht jo imaan se bhi shaad nahin
kyaa kyaa na mujh se sang-dili dilbaron ne ki
patthar paDein samajh pe na samjhaa kisi tarah