Shayari
ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
siina dahak rahaa ho to kyaa chup rahe koi
kyuun chikh chikh kar na galaa chhil le koi
سینہ دہک رہا ہو تو کیا چپ رہے کوئی
کیوں چیخ چیخ کر نہ گلا چھیل لے کوئی
siina dahak rahā ho to kyā chup rahe koī
kyuuñ chīḳh chīḳh kar na galā chhīl le koī

ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai
shishe ke is taraf se main sab ko tak rahaa huun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo jo na aane vaalaa hai naa us se mujh ko matlab thaa
aane vaalon se kyaa matlab aate hain aate honge
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
mom ki siDhi pe chaDh kar chhu rahe the aaftaab
phuul se chehron ko ye koshish bahut mahngi paDi
main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa
us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa