Shayari
rakkhi thi tasvir tumhaari aankhon mein
ham ne saari raat guzaari aankhon mein
ek bachcha saa be-sabab 'jaazil'
baiThaa rahtaa hai ruuTh kar mujh mein
ایک بچہ سا بے سبب جاذلؔ
بیٹھا رہتا ہے روٹھ کر مجھ میں
एक बच्चा सा बे-सबब 'जाज़िल'
बैठा रहता है रूठ कर मुझ में

rakkhi thi tasvir tumhaari aankhon mein
ham ne saari raat guzaari aankhon mein
chhaanv chhaanv pukaartaa jaae
kaun karne lagaa safar mujh mein
main apne jism ke andar na dafn ho jaaun
mujhe vajud ke girte hue makaan se nikaal
ashk aankhon se ye kah kar niklaa
ye tire zabt ki had hai? had hai
zindagi tujh ko tire dard ke har ik pal ko
ham ne jis tarah guzaaraa hai khudaa jaantaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
hamaare jitne bachche the parinde ho gae saare
ye vo ghar hai jahaan par ab koi bachcha nahin rahtaa
ye bachpan ke saathi ki hai qabr 'saahil'
jo sab ko rulaa kar yahaan so rahaa hai
bachpan kitnaa pyaaraa thaa jab dil ko yaqin aa jaataa thaa
marte hain to ban jaate hain aasmaan ke taare log
sisakte the bachche bilakti thiin maaein
jo insaan bhi pyaas se naa-tavaan thaa