Shayari
rakkhi thi tasvir tumhaari aankhon mein
ham ne saari raat guzaari aankhon mein
zindagi tujh ko tire dard ke har ik pal ko
ham ne jis tarah guzaaraa hai khudaa jaantaa hai
زندگی تجھ کو ترے درد کے ہر اک پل کو
ہم نے جس طرح گزارا ہے خدا جانتا ہے
ज़िंदगी तुझ को तिरे दर्द के हर इक पल को
हम ने जिस तरह गुज़ारा है ख़ुदा जानता है

rakkhi thi tasvir tumhaari aankhon mein
ham ne saari raat guzaari aankhon mein
chhaanv chhaanv pukaartaa jaae
kaun karne lagaa safar mujh mein
main apne jism ke andar na dafn ho jaaun
mujhe vajud ke girte hue makaan se nikaal
ashk aankhon se ye kah kar niklaa
ye tire zabt ki had hai? had hai
ek bachcha saa be-sabab 'jaazil'
baiThaa rahtaa hai ruuTh kar mujh mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aansu nahin banaa so ham ne
ujlat mein qahqaha banaayaa
ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
ai chaaragaro dard baDhaa kyuun nahin dete
tujhe bhulaa ke bhi sadiyaan bhulaa nahin saktin
magar ye shart hai khud mein kamaal paidaa kar