Shayari
tasalli aap ne di farq hai haan dil ki haalat mein
jo tham tham kar khalish hoti thi paiham hoti jaati hai
nahin ilaaj-e-gham-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
taDap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije
نہیں علاج غم ہجر یار کیا کیجے
تڑپ رہا ہے دل بے قرار کیا کیجے
नहीं इलाज-ए-ग़म-ए-हिज्र-ए-यार क्या कीजे
तड़प रहा है दिल-ए-बे-क़रार किया कीजे

tasalli aap ne di farq hai haan dil ki haalat mein
jo tham tham kar khalish hoti thi paiham hoti jaati hai
ye sher mere use sunaa do
puchhe jo koi 'jigar' main kyaa huun
ishq mein qadr-e-khastagi ki ummid
ai 'jigar' hosh ki davaa kijiye
aaj kyaa jaane kyaa hai hone ko
ji bahut chaahtaa hai rone ko
dard ho dukh ho to davaa kiije
phaT paDe aasmaan to kyaa kiije
maraz-e-ishq ko shifaa samjhe
dard ko dard ki davaa samjhe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jab tujhe bhulnaa chaahaa dil ne
ik nae gham ki sazaa di ham ne
parde mein khamoshi ke burqe mein udaasi ke
shaayad koi aa jaae darvaaza khulaa rakhnaa
koThe ujaaD khiDkiyaan chup raaste udaas
jaate hi un ke kuchh na rahaa zindagi ke paas