Shayari
dil dhaDakne kaa sabab zindagi ho sakti hai
ye zaruri to nahin hai ki tiri yaad hi ho
gham kahaan dekhne ki shai hai magar
didani hai vo sogvaar nikhaar
غم کہاں دیکھنے کی شے ہے مگر
دیدنی ہے وہ سوگوار نکھار
ग़म कहाँ देखने की शय है मगर
दीदनी है वो सोगवार निखार

dil dhaDakne kaa sabab zindagi ho sakti hai
ye zaruri to nahin hai ki tiri yaad hi ho
kal dopahar ko saath rahaa thaa vo der tak
phir us ke baa'd shaam rahi shaam hi rahi
hamaare chaak-e-garebaan kaa taar thaa ye kabhi
ye jis pharere ko nikle hain aap lahraane
ek hi dar thaa gali mein vo bhi darvaaza huaa
jab se har aavaaz par be-kaar mein khulne lagaa
vo ik aavaaz thi manzil nahin thi
magar main us ki jaanib chal paDaa thaa
aa jaati hain kuchh khushiyaan andeshon mein
kuchh andeshe khushiyon mein aa jaate hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
ik raat us ke haath pe aansu giraa ke dekh
'mahmud' teraa chaand sitaara-shanaas hai
koi din aur gham-e-hijr mein shaadaan ho lein
abhi kuchh din mein samajh jaaeinge duniyaa kyaa hai