Shayari
dil dhaDakne kaa sabab zindagi ho sakti hai
ye zaruri to nahin hai ki tiri yaad hi ho
kal dopahar ko saath rahaa thaa vo der tak
phir us ke baa'd shaam rahi shaam hi rahi
کل دوپہر کو ساتھ رہا تھا وہ دیر تک
پھر اس کے بعد شام رہی شام ہی رہی
कल दोपहर को साथ रहा था वो देर तक
फिर उस के बा'द शाम रही शाम ही रही

dil dhaDakne kaa sabab zindagi ho sakti hai
ye zaruri to nahin hai ki tiri yaad hi ho
hamaare chaak-e-garebaan kaa taar thaa ye kabhi
ye jis pharere ko nikle hain aap lahraane
ek hi dar thaa gali mein vo bhi darvaaza huaa
jab se har aavaaz par be-kaar mein khulne lagaa
vo ik aavaaz thi manzil nahin thi
magar main us ki jaanib chal paDaa thaa
khiDki kaa ye bhaari parda
hijr mein malmal ho jaataa hai
aa jaati hain kuchh khushiyaan andeshon mein
kuchh andeshe khushiyon mein aa jaate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
shaam ho yaa ki sahar yaad unhin ki rakhni
din ho yaa raat hamein zikr unhin kaa karnaa
ghurbat ki subh mein bhi nahin hai vo raushni
jo raushni ki shaam-e-savaad-e-vatan mein thaa