Shayari
bahut hain sajda-gaahein par dar-e-jaanaan nahin miltaa
hazaaron devtaa hain har taraf insaan nahin miltaa
kis se puchhein ki ham kidhar jaaein
yaad ab ham ko vo gali hi nahin
کس سے پوچھیں کہ ہم کدھر جائیں
یاد اب ہم کو وہ گلی ہی نہیں
किस से पूछें कि हम किधर जाएँ
याद अब हम को वो गली ही नहीं

bahut hain sajda-gaahein par dar-e-jaanaan nahin miltaa
hazaaron devtaa hain har taraf insaan nahin miltaa
na aae tum na aao tum ki ab aane se kyaa haasil
khud ab to ham se apni shakl pahchaani nahin jaati
miri jaan teri khaatir jaan kaa saudaa
bahut mahngaa bhi hai dushvaar bhi hai
ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi
na raushni se huaa kuchh na kuchh havaa se huaa
tumhaare naam pe dil ab bhi ruk saa jaataa hai
ye baat vo hai ki is se mafar nahin hotaa
ye vaqfa saaaton kaa chand sadiyon ke baraabar hai
vo ab aavaaz dete hain to pahchaani nahin jaati
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
ai chaman vaalo chaman mein yuun guzaaraa chaahiye
baaghbaan bhi khush rahe raazi rahe sayyaad bhi
koi puraanaa khat kuchh bhuli-bisri yaad
zakhmon par vo lamhe marham hote hain
tu jafaaon se jo badnaam kiye jaataa hai
yaad aaegi tujhe meri vafaa mere baad
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain