Shayari
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
K
Kishan Kumaar Waqaarbahut dinon se huun aamad kaa apni chashm-ba-raah
tumhaaraa le gayaa ai yaar intizaar kahaan
بہت دنوں سے ہوں آمد کا اپنی چشم براہ
تمہارا لے گیا اے یار انتظار کہاں
बहुत दिनों से हूँ आमद का अपनी चश्म-ब-राह
तुम्हारा ले गया ऐ यार इंतिज़ार कहाँ
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
ukhDi baaton se us ki saabit hai
kuchh na kuchh aaj ghair jaD ke uThaa
tumhaare ishq-e-abru mein hilaal-e-id ki surat
hazaaron ungliyaan uTThin jidhar se ho ke ham nikle
ashk-e-hasrat hai aaj tufaan-khez
kashti-e-chashm ki tabaahi hai
chhuptaa nahin hai dil mein kabhi raaz ishq kaa
ye aag vo hai jis ko nahin taab sang mein
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
go zaraa si baat par barson ke yaaraane gae
lekin itnaa to huaa kuchh log pahchaane gae
chashm o rukhsaar ke azkaar ko jaari rakkho
pyaar ke naame ko doharaao ki kuchh raat kaTe
rahte the kabhi jin ke dil mein ham jaan se bhi pyaaron ki tarah
baiThe hain unhin ke kuche mein ham aaj gunahgaaron ki tarah
miyaan us shakhs se hoshiyaar rahnaa
sabhi se jhuk ke jo miltaa bahut hai
pyaar ki baatein kijiye saahab
lutf sohbat kaa guftugu se hai