Shayari
'majruh' likh rahe hain vo ahl-e-vafaa kaa naam
ham bhi khaDe hue hain gunahgaar ki tarah
rahte the kabhi jin ke dil mein ham jaan se bhi pyaaron ki tarah
baiThe hain unhin ke kuche mein ham aaj gunahgaaron ki tarah
رہتے تھے کبھی جن کے دل میں ہم جان سے بھی پیاروں کی طرح
بیٹھے ہیں انہیں کے کوچے میں ہم آج گنہ گاروں کی طرح
रहते थे कभी जिन के दिल में हम जान से भी प्यारों की तरह
बैठे हैं उन्हीं के कूचे में हम आज गुनहगारों की तरह

'majruh' likh rahe hain vo ahl-e-vafaa kaa naam
ham bhi khaDe hue hain gunahgaar ki tarah
dast-e-pur-khun ko kaf-e-dast-e-nigaaraan samjhe
qatl-gah thi jise ham mahfil-e-yaaraan samjhe
main ki ek mehnat-kash main ki tirgi-dushman
subh-e-nau ibaarat hai mere muskuraane se
tishnagi hi tishnagi hai kis ko kahiye mai-kada
lab hi lab ham ne to dekhe kis ko paimaana kahein
paara-e-dil hai vatan ki sarzamin mushkil ye hai
shahr ko viraan yaa is dil ko viraana kahein
bahaane aur bhi hote jo zindagi ke liye
ham ek baar tiri aarzu bhi kho dete
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham ne kyaa paa liyaa hindu yaa musalmaan ho kar
kyuun na insaan se mohabbat karein insaan ho kar
zabaan tak jo na aae vo mohabbat aur hoti hai
fasaana aur hotaa hai haqiqat aur hoti hai
dil qanaaat zaraa si kartaa to
har mohabbat thi aakhiri meri
mohabbaton ke liye umr kam hai so vo shakhs
sabhi shikaayatein kuchh din idhar udhar kar de