Shayari
ye haasil hai miri khaamoshiyon kaa
ki patthar aazmaane lag gae hain
zindagi se mohabbat karo TuuT kar
maut kaa kaam dushvaar karte raho
زندگی سے محبت کرو ٹوٹ کر
موت کا کام دشوار کرتے رہو
ज़िंदगी से मोहब्बत करो टूट कर
मौत का काम दुश्वार करते रहो

ye haasil hai miri khaamoshiyon kaa
ki patthar aazmaane lag gae hain
ho gae phir tum kahin aabaad kyaa
hil gai tanhaai ki buniyaad kyaa
mohabbat ratjage aavaaragardi
zaruri kaam saare ho rahe hain
koi jab shahr se jaae to raunaq ruuTh jaati hai
kisi ki shahr mein maujudgi se kuchh nahin hotaa
ye naadaani nahin to kyaa hai 'daanish'
samajhnaa thaa jise samjhaa rahaa huun
jab apni be-kali se be-khudi se kuchh nahin hotaa
pukaarein kyon kisi ko ham kisi se kuchh nahin hotaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
khinch laayaa tujhe ehsaas-e-mohabbat mujh tak
ham-safar hone kaa teraa bhi iraada kab thaa
divaar-e-zindaan ke pichhe
jurm-e-mohabbat mein baiThaa huun
gar kiyaa naaseh ne ham ko qaid achchhaa yuun sahi
ye junun-e-ishq ke andaaz chhuT jaaveinge kyaa
ham jaante to ishq na karte kisu ke saath
le jaate dil ko khaak mein is aarzu ke saath