Shayari
yuun guzarte hain hijr ke lamhe
jaise vo baat karte jaate hain
haal kah dete hain naazuk se ishaare akasr
kitni khaamosh nigaahon ki zabaan hoti hai
حال کہہ دیتے ہیں نازک سے اشارے اکثر
کتنی خاموش نگاہوں کی زباں ہوتی ہے
हाल कह देते हैं नाज़ुक से इशारे अक्सर
कितनी ख़ामोश निगाहों की ज़बाँ होती है

yuun guzarte hain hijr ke lamhe
jaise vo baat karte jaate hain
kis tarah karein tujh se gila tere sitam kaa
madhosh ishaaron ne bhi dil toD diyaa hai
tasvir-e-zindagi mein nayaa rang bhar gae
vo haadse jo dil pe hamaare guzar gae
is Dubte suraj se to ummid hi kyaa thi
hans hans ke sitaaron ne bhi dil toD diyaa hai
aghyaar kaa shikva nahin is ahd-e-havas mein
ik umr ke yaaron ne bhi dil toD diyaa hai
kaun samjhe ham pe kyaa guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThtaa hai zikr-e-shaam se
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
hai kuchh aisi hi baat jo chup huun
varna kyaa baat kar nahin aati
hai kuchh to baat 'momin' jo chhaa gai khamoshi
kis but ko de diyaa dil kyuun but se ban gae ho
kisi parind ki chikhon ne sang-baari ki
sukut-e-shaam kaa shisha bikhar gayaa mujh mein
dukh safar kaa hai ki apnon se bichhaD jaane kaa gham
kyaa sabab hai vaqt-e-rukhsat ham-safar khaamosh hain
sabab khaamoshiyon kaa main nahin thaa
mire ghar mein sabhi kam bolte the