Shayari
main itni raushni phailaa chukaa huun
ki bujh bhi jaaun to ab gham nahin hai
ham ko bhi khush-numaa nazar aai hai zindagi
jaise saraab duur se dariyaa dikhaai de
ہم کو بھی خوش نما نظر آئی ہے زندگی
جیسے سراب دور سے دریا دکھائی دے
हम को भी ख़ुश-नुमा नज़र आई है ज़िंदगी
जैसे सराब दूर से दरिया दिखाई दे

main itni raushni phailaa chukaa huun
ki bujh bhi jaaun to ab gham nahin hai
ab havaaein hi kareingi raushni kaa faisla
jis diye mein jaan hogi vo diyaa rah jaaegaa
jis ke liye bachcha royaa thaa aur ponchhe the aansu baabaa ne
vo bachcha ab bhi zinda hai vo mahngaa khilaunaa TuuT gayaa
har patti bojhal ho ke giri sab shaakhein jhuk kar TuuT gaiin
us baarish hi se fasl ujDi jis baarish se tayyaar hui
abhi sar kaa lahu thamne na paayaa
udhar se ek patthar aur aayaa
kare dariyaa na pul mismaar mere
abhi kuchh log hain us paar mere
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe