Shayari
main divaana sahi lekin vo khush-qismat huun ai 'mahshar'
ki duniyaa ki zabaan par aa gayaa hai aaj naam apnaa
M
Mahshar Inayatichale bhi aao mire jite-ji ab itnaa bhi
na intizaar baDhaao ki niind aa jaae
چلے بھی آؤ مرے جیتے جی اب اتنا بھی
نہ انتظار بڑھاؤ کہ نیند آ جائے
चले भी आओ मिरे जीते-जी अब इतना भी
न इंतिज़ार बढ़ाओ कि नींद आ जाए
main divaana sahi lekin vo khush-qismat huun ai 'mahshar'
ki duniyaa ki zabaan par aa gayaa hai aaj naam apnaa
un kaa gham un kaa tasavvur un ki yaad
kaT rahi hai zindagi aaraam se
har ek baat zabaan se kahi nahin jaati
jo chupke baiThe hain kuchh un ki baat bhi samjho
kisi ki bazm ke haalaat ne samjhaa diyaa mujh ko
ki jab saaqi nahin apnaa to mai apni na jaam apnaa
baDi tavil hai 'mahshar' kisi ke hijr ki baat
koi ghazal hi sunaao ki niind aa jaae
qasam jab us ne khaai ham ne e'tibaar kar liyaa
zaraa si der zindagi ko khush-gavaar kar liyaa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
main bahut jald lauT aaungaa
tum miraa intizaar mat karnaa
tamaam umr rahe meraa muntazir tu bhi
tamaam umr mire intizaar ko tarse
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai