Shayari
main divaana sahi lekin vo khush-qismat huun ai 'mahshar'
ki duniyaa ki zabaan par aa gayaa hai aaj naam apnaa
M
Mahshar Inayatihar ek baat zabaan se kahi nahin jaati
jo chupke baiThe hain kuchh un ki baat bhi samjho
ہر ایک بات زباں سے کہی نہیں جاتی
جو چپکے بیٹھے ہیں کچھ ان کی بات بھی سمجھو
हर एक बात ज़बाँ से कही नहीं जाती
जो चुपके बैठे हैं कुछ उन की बात भी समझो
main divaana sahi lekin vo khush-qismat huun ai 'mahshar'
ki duniyaa ki zabaan par aa gayaa hai aaj naam apnaa
un kaa gham un kaa tasavvur un ki yaad
kaT rahi hai zindagi aaraam se
chale bhi aao mire jite-ji ab itnaa bhi
na intizaar baDhaao ki niind aa jaae
kisi ki bazm ke haalaat ne samjhaa diyaa mujh ko
ki jab saaqi nahin apnaa to mai apni na jaam apnaa
baDi tavil hai 'mahshar' kisi ke hijr ki baat
koi ghazal hi sunaao ki niind aa jaae
qasam jab us ne khaai ham ne e'tibaar kar liyaa
zaraa si der zindagi ko khush-gavaar kar liyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
kisi ne haal jo puchhaa to ho gae khaamosh
tumhaari baat ham apni zabaan se kyaa kahte
vo chup lagi hai ki hanstaa hai aur na rotaa hai
ye ho gayaa hai khudaa jaane dil ko raat se kyaa
kisi akeli shaam ki chup mein
giit puraane gaa ke dekho
vo maathaa kaa matla ho ki honThon ke do misre
bachpan se ghazal hi meri mahbuba rahi hai
kahtaa hai bahut kuchh vo mujhe chupke hi chupke
zaahir mein ye kahtaa hai ki main kuchh nahin kahtaa