Shayari
ishq pe ijtihaad kar kar ke
mujtahid ho gayaa huun main gham kaa
bevafaai ki jab bhi baat chali
baa-khudaa tum bahut hi yaad aae
بے وفائی کی جب بھی بات چلی
با خدا تم بہت ہی یاد آئے
बेवफ़ाई की जब भी बात चली
बा-ख़ुदा तुम बहुत ही याद आए

ishq pe ijtihaad kar kar ke
mujtahid ho gayaa huun main gham kaa
mohabbat ki bhi to ik bevafaa se
ye qatl-e-khud nahin to aur kyaa hai
hai isi baat kaa malaal mujhe
ki mujhe ab koi malaal nahin
hone do agar ho gae kuchh log bure bhi
gulshan mein agar phuul hain to khaar bhi honge
laDkaa na koi phir se ho barbaad dahr mein
tujh par na jaaein beTiyaan teri khudaa kare
raahon ke pattharon kaa bhalaa kyaa gila karun
ab aadmi ke dil bhi to patthar ke ho gae
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ai chaman vaalo chaman mein yuun guzaaraa chaahiye
baaghbaan bhi khush rahe raazi rahe sayyaad bhi
koi puraanaa khat kuchh bhuli-bisri yaad
zakhmon par vo lamhe marham hote hain
tu jafaaon se jo badnaam kiye jaataa hai
yaad aaegi tujhe meri vafaa mere baad
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein