Shayari
is ashk o aah mein saudaa bigaD na jaae kahin
ye dil kuchh aab-rasida hai kuchh jalaa bhi hai
agarche ishq mein aafat hai aur balaa bhi hai
niraa buraa nahin ye shaghl kuchh bhalaa bhi hai
اگرچہ عشق میں آفت ہے اور بلا بھی ہے
نرا برا نہیں یہ شغل کچھ بھلا بھی ہے
अगरचे इश्क़ में आफ़त है और बला भी है
निरा बुरा नहीं ये शग़्ल कुछ भला भी है

is ashk o aah mein saudaa bigaD na jaae kahin
ye dil kuchh aab-rasida hai kuchh jalaa bhi hai
chashm-e-tar par gar nahin kartaa havaa par rahm kar
de le saaqi ham ko mai ye abr-e-baaraan phir kahaan
kyaa badan hogaa ki jis ke kholte jaame kaa band
barg-e-gul ki tarah har naakhun moattar ho gayaa
misr mein husn ki vo garmi-e-baazaar kahaan
jins to hai pe zulekhaa saa kharidaar kahaan
umr fariyaad mein barbaad gai kuchh na huaa
naala mashhur ghalat hai ki asar kartaa hai
khalvat ho aur sharaab ho maashuq saamne
zaahid tujhe qasam hai jo tu ho to kyaa kare
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ai chaaragaro paas tumhaare na milegi
bimaar-e-mohabbat ki davaa aur hi kuchh hai
tu jo talvaar se nahlaae lahu mein mujh ko
ghusl-e-sehhat huaa bhi ishq ki bimaari se
ishq binaai baDhaa detaa hai
jaane kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe