Shayari
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
puchhaa agar kisi ne miraa aa ke haal-e-dil
be-ikhtiyaar aah labon se nikal gai
پوچھا اگر کسی نے مرا آ کے حال دل
بے اختیار آہ لبوں سے نکل گئی
पूछा अगर किसी ने मिरा आ के हाल-ए-दिल
बे-इख़्तियार आह लबों से निकल गई

ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
na sikandar hai na daaraa hai na qaisar hai na jam
be-mahal khaak mein hain qasr banaane vaale
agar hayaat hai dekheinge ek din didaar
ki maah-e-eid bhi aakhir hai in mahinon mein
daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho
qaarun ko bhi apnaa khazaanaa nahin miltaa
ai sanam vasl ki tadbiron se kyaa hotaa hai
vahi hotaa hai jo manzur-e-khudaa hotaa hai
hamaare aib ne be-aib kar diyaa ham ko
yahi hunar hai ki koi hunar nahin aataa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
kaun maslub huaa husn kaa kirdaar ki ham
shohrat-e-ishq mein badnaam huaa yaar ki ham
har siina aah hai tire paikaan kaa muntazir
ho intikhaab ai nigah-e-yaar dekh kar
jab chaahaa iqraar kiyaa hai jab chaahaa inkaar kiyaa
dekho ham ne khud hi se ye kaisaa anokhaa pyaar kiyaa
hindostaan mein dhuum hai kis ki zabaan ki
vo kaun hai 'riyaaz' ko jo jaantaa nahin