Shayari
dekh lo ham ko aaj ji bhar ke
koi aataa nahin hai phir mar ke
maut se kis ko rustagaari hai
aaj vo kal hamaari baari hai
موت سے کس کو رستگاری ہے
آج وہ کل ہماری باری ہے
मौत से किस को रुस्तगारी है
आज वो कल हमारी बारी है

dekh lo ham ko aaj ji bhar ke
koi aataa nahin hai phir mar ke
gesu rukh par havaa se hilte hain
chaliye ab donon vaqt milte hain
saabit ye kar rahaa huun ki rahmat-shanaas huun
har qism kaa gunaah kiye jaa rahaa huun main
chaman mein shab ko ghiraa abr-e-nau-bahaar rahaa
huzur aap kaa kyaa kyaa na intizaar rahaa
gae jo aish ke din main shabaab kyaa kartaa
lagaa ke jaan ko apni azaab kyaa kartaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi