Shayari
jis lafz ko main toD ke khud TuuT gayaa huun
kahtaa bhi to vo us ko gavaaraa nahin hotaa
jaise sajde mein qatl ho koi
aisaa hotaa hai chaahaton kaa mazaa
جیسے سجدے میں قتل ہو کوئی
ایسا ہوتا ہے چاہتوں کا مزا
जैसे सज्दे में क़त्ल हो कोई
ऐसा होता है चाहतों का मज़ा

jis lafz ko main toD ke khud TuuT gayaa huun
kahtaa bhi to vo us ko gavaaraa nahin hotaa
'mohsin' bure dinon mein nayaa dost kaun ho
hai jis kaa pahlaa qarz usi se savaal kar
vo majburi maut hai jis mein kaase ko buniyaad mile
pyaas ki shiddat jab baDhti hai Dar lagtaa hai paani se
ham apne zaahir o baatin kaa andaaza lagaa lein
phir us ke saamne jaane ki tayyaari kareinge
havaa charaagh bujhaane lagi to ham ne bhi
diye ki lau ki jagah teraa intizaar rakhaa
khud ko main bhalaa zer-e-zamin kaise dabaataa
jitne bhi khanDar nikle vo aabaad se nikle
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
mohabbat ki hamein fursat nahin thi
jamaal-e-yaar ne chaunkaa diyaa thaa
kar liije 'raziya' se mohabbat ham par kiije nazr-e-karam
vo be-chaari phans jaaegi ham us ko samjhaaeinge