Shayari
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
hazaar tarah ke sadme uThaane vaale log
na jaane kyaa huaa ik aan mein bikhar se gae
ہزار طرح کے صدمے اٹھانے والے لوگ
نہ جانے کیا ہوا اک آن میں بکھر سے گئے
hazār tarah ke sadme uThāne vaale log
na jaane kyā huā ik aan meñ bikhar se ga.e

ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
laai hai ab uDaa ke gae mausamon ki baas
barkhaa ki rut kaa qahr hai aur ham hain dosto
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
udaas raaton ki tirgi mein na koi taaraa na koi jugnu
kisi kaa naqsh-e-qadam hi chamke to nuur kaa e'tibaar aae
na chhoDaa sard jhonkon ne vafaa ko
jo shaakh-e-dard ki tanhaa kali thi
shaam ki bhigi hui palkon mein phir
koi aansu aae aur taaraa bane