Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
hai roz-e-panj-shamba tu faatiha dilaa de
ghar tere kushtagaan ki ruhein na aaiyaan hon
ہے روز پنج شنبہ تو فاتحہ دلا دے
گھر تیرے کشتگاں کی روحیں نہ آئیاں ہوں
है रोज़-ए-पंज-शम्बा तू फ़ातिहा दिला दे
घर तेरे कुश्तगाँ की रूहें न आइयाँ हों

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
aap ke qurb se pahle mujhe maalum na thaa
zindagi itni dil-aavez bhi ho sakti hai
kyaa kisi ummid par phir se dar-e-dil vaa karun
tujh se baDh kar khud bataa meraa shanaasaa kaun thaa
agar hamaare hi dil mein Thikaanaa chaahiye thaa
to phir tujhe zaraa pahle bataanaa chaahiye thaa
rishton ki daldal se kaise nikleinge
har saazish ke pichhe apne nikleinge