Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
saaat-e-isviyaan hai ki miraa dil jis mein
khud-ba-khud choT lagi khud-ba-khud aavaaz hui
ساعت عیسویاں ہے کہ مرا دل جس میں
خود بہ خود چوٹ لگی خود بہ خود آواز ہوئی
साअत-ए-ईसवियाँ है कि मिरा दिल जिस में
ख़ुद-ब-ख़ुद चोट लगी ख़ुद-ब-ख़ुद आवाज़ हुई

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ehsaan-e-rab mohabbatein itni milin 'adil'
is umr-e-mukhtasar mein na lauTaa sakeinge ham
teri jaanib aa rahaa huun ruuh ki taskin ko main
hasratein dil ki main duniyaa mein nikaal aayaa bahut
vo jo tark-e-rabt kaa ahd thaa kahin TuTne to nahin lagaa
tire dil ke dard ko dekh kar mire dil mein dard hai kis liye
kyaa zaraa saa vaqt badlaa sab ne aankhein pher liin
bebasi par muskuraate hain mire ahbaab dekh