Shayari
aah ko saaz banaate hain dukhon ki rut mein
dil-shikasta hain par aavaaz sanbhaale hue hain
din-daar log rab ko manaane mein mast hain
darvesh apne naachne gaane mein mast hain
دیں دار لوگ رب کو منانے میں مست ہیں
درویش اپنے ناچنے گانے میں مست ہیں
दीं-दार लोग रब को मनाने में मस्त हैं
दरवेश अपने नाचने गाने में मस्त हैं

aah ko saaz banaate hain dukhon ki rut mein
dil-shikasta hain par aavaaz sanbhaale hue hain
kaise kaise log vujud ki zad mein aa kar mar gae
is dariyaa ki bheinT chaDhe kaise kaise tairaak
kyaa nayyaa aur kaisaa khevayyaa chaahne vaalo Duub maro
in aankhon ke dariyaaon mein aaj bhanvar bharpur paDe hain
vahshat nahin hai raqs-e-masarrat hai dasht mein
peDon ki shakl mein ye mire chaar-su ho tum
par kaTe panchhiyon se puchhte ho
tum mein uDne kaa hausla hai kyaa
badalte mausamon kaa haath thaame chalne vaalo
sukun pahunchaaegi tum ko shajar-kaari hamaari
khuub jaantaa hai ye ik faqir haathon mein
kab hai be-kasi rakhnaa kab hai mo'jiza rakhnaa
ham sufiyon kaa donon taraf se ziyaan huaa
irfaan-e-zaat bhi na huaa raat bhi gai
karim jo tujhe denaa hai be-talab de de
faqir huun pa nahin aadat-e-savaal mujhe
chhaaon detaa dhuup uThaataa raste mein
main ne dekhaa ek shajar darveshi mein
do-shaala shaal kashmiri amiron ko mubaarak ho
galim-e-kohna mein jaaDaa faqiron kaa basar hogaa
amir-zaadon se dilli ke mil na taa-maqdur
ki ham faqir hue hain inhin ki daulat se