Shayari
kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalein
aae hain is gali mein to patthar hi le chalein
mujhe ye Dar hai tiri aarzu na miT jaae
bahut dinon se tabiat miri udaas nahin
مجھے یہ ڈر ہے تری آرزو نہ مٹ جائے
بہت دنوں سے طبیعت مری اداس نہیں
मुझे ये डर है तिरी आरज़ू न मिट जाए
बहुत दिनों से तबीअत मिरी उदास नहीं

kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalein
aae hain is gali mein to patthar hi le chalein
vo raat kaa be-navaa musaafir vo teraa shaair vo teraa 'naasir'
tiri gali tak to ham ne dekhaa thaa phir na jaane kidhar gayaa vo
akele ghar se puchhti hai be-kasi
tiraa diyaa jalaane vaale kyaa hue
girafta-dil hain bahut aaj tere divaane
khudaa kare koi tere sivaa na pahchaane
jurm-e-ummid ki sazaa hi de
mere haq mein bhi kuchh sunaa hi de
nae kapDe badal kar jaaun kahaan aur baal banaaun kis ke liye
vo shakhs to shahr hi chhoD gayaa main baahar jaaun kis ke liye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai