Shayari
isi khayaal mein har shaam-e-intizaar kaTi
vo aa rahe hain vo aae vo aae jaate hain
is chashm-e-siyah-mast pe gesu hain pareshaan
mai-khaane pe ghanghor ghaTaa khel rahi hai
اس چشم سیہ مست پہ گیسو ہیں پریشاں
مے خانے پہ گھنگھور گھٹا کھیل رہی ہے
इस चश्म-ए-सियह-मस्त पे गेसू हैं परेशाँ
मय-ख़ाने पे घनघोर घटा खेल रही है

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
jaam-ba-dast-o-mai-ba-jaam yuun hi guzaar subh-o-shaam
ziist ki talkhiyaan mudaam pi ke pilaa ke bhuul jaa