Shayari
sukun de na sakin raahatein zamaane ki
jo niind aai tire gham ki chhaanv mein aai
ajiib shai hai tasavvur ki kaar-farmaai
hazaar mahfil-e-rangin sharik-e-tanhaai
عجیب شے ہے تصور کی کار فرمائی
ہزار محفل رنگیں شریک تنہائی
अजीब शय है तसव्वुर की कार-फ़रमाई
हज़ार महफ़िल-ए-रंगीं शरीक-ए-तन्हाई

sukun de na sakin raahatein zamaane ki
jo niind aai tire gham ki chhaanv mein aai
nafas nafas pe yahaan rahmaton ki baarish hai
hai bad-nasib jise zindagi na raas aai
malaamaton se junun mein na kuchh kami aai
jaraahaton se baDhi zakhm-e-dil ki raanaai
khushi visaal ki ab hai na ranj-e-tanhaai
ye kis maqaam pe mujh ko hayaat le aai
phailaa fazaa mein naghma-e-zanjir-e-marhabaa
zindaan mein ghuT ke rah na saki zindagi ki baat
taarikh-e-kaaenaat-e-ibaadat junun se hai
unvaan-e-aql-o-hosh hai divaangi ki baat
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa