Shayari
na jaane kaun si turpan udheD rakkhi hai
kisi ke jaane se itnaa bhi kaun rotaa hai
cigarette se jaa ke duur giraa khaak ho gayaa
aaya sharar ki shakl mein soz-e-nihaan kaa dard
سگریٹ سے جا کے دور گرا خاک ہو گیا
آیا شرر کی شکل میں سوز نہاں کا درد
सिगरेट से जा के दूर गिरा ख़ाक हो गया
आया शरर की शक्ल में सोज़-ए-निहाँ का दर्द

na jaane kaun si turpan udheD rakkhi hai
kisi ke jaane se itnaa bhi kaun rotaa hai
apni talab mein shauq se jagte hain raat-bhar
ham ko kisi ke ishq kaa maaraa na jaaniye
jaate nahin hain aur kahin phaankne ko dhuul
sahraa hamaare ghar kaa hai mehmaan in dinon
sajda huaa hamesha faqiron ke ilm par
ham aagahi pe marte hain poshaak par nahin
mujh se khalaa mein baat bhi karnaa nahin rafiq
aise khalaa mein baat bhi karnaa hai ik gunaah
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tanhaai ki dulhan apni maang sajaae baiThi hai
viraani aabaad hui hai ujDe hue darakhton mein
ye teraa gulistaan teraa chaman kab meri navaa ke qaabil hai
naghma miraa apne daaman mein aap apnaa gulistaan laataa hai
raaz-e-gham-e-ulfat ko ye duniyaa na samajh le
aansu mire daaman mein tumhaare bhi mile hain