Shayari
cigarette se jaa ke duur giraa khaak ho gayaa
aaya sharar ki shakl mein soz-e-nihaan kaa dard
na jaane kaun si turpan udheD rakkhi hai
kisi ke jaane se itnaa bhi kaun rotaa hai
نہ جانے کون سی ترپن ادھیڑ رکھی ہے
کسی کے جانے سے اتنا بھی کون روتا ہے
न जाने कौन सी तुरपन उधेड़ रक्खी है
किसी के जाने से इतना भी कौन रोता है

cigarette se jaa ke duur giraa khaak ho gayaa
aaya sharar ki shakl mein soz-e-nihaan kaa dard
apni talab mein shauq se jagte hain raat-bhar
ham ko kisi ke ishq kaa maaraa na jaaniye
jaate nahin hain aur kahin phaankne ko dhuul
sahraa hamaare ghar kaa hai mehmaan in dinon
sajda huaa hamesha faqiron ke ilm par
ham aagahi pe marte hain poshaak par nahin
mujh se khalaa mein baat bhi karnaa nahin rafiq
aise khalaa mein baat bhi karnaa hai ik gunaah
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
duniyaa gharib jaan ke hansti thi 'mir' par
'iqbaal' mujh pe aise ye duniyaa hansi ki bas
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa