Shayari
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
Q
Qalaq Merathidil ke har juzv mein judaai hai
dard uThe aabla agar baiThe
دل کے ہر جزو میں جدائی ہے
درد اٹھے آبلہ اگر بیٹھے
दिल के हर जुज़्व में जुदाई है
दर्द उठे आबला अगर बैठे
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
har sang mein kaabe ke nihaan ishva-e-but hai
kyaa baani-e-islaam bhi ghaarat-gar-e-din thaa
amn aur tere ahd mein zaalim
kis tarah khaak-e-rahguzar baiThe
us se na miliye jis se mile dil tamaam umr
sujhi hamein bhi hijr mein aakhir ko duur ki
kasrat-e-sajda se pashemaan hain
ki tiraa naqsh-e-paa miTaa baiThe
khud ko kabhi na dekhaa aaine hi ko dekhaa
ham se to kyaa ki khud se naa-aashnaa rahaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kiyaa dard-o-gham ne mujhe naa-umid
ki majnun ko ye hi thiin bimaariyaan
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
mire aibon ko ginvaayaa to sab ne
kisi ne meri gham-khvaari nahin ki