Shayari
dil ki kheti suukh rahi hai kaisi ye barsaat hui
khvaabon ke baadal aate hain lekin aag barasti hai
zindagi DhunDh le tu bhi kisi divaane ko
us ke gesu to mire pyaar ne suljhaae hain
زندگی ڈھونڈھ لے تو بھی کسی دیوانے کو
اس کے گیسو تو مرے پیار نے سلجھائے ہیں
ज़िंदगी ढूँढ ले तू भी किसी दीवाने को
उस के गेसू तो मिरे प्यार ने सुलझाए हैं

dil ki kheti suukh rahi hai kaisi ye barsaat hui
khvaabon ke baadal aate hain lekin aag barasti hai
is safar mein niind aisi kho gai
ham na soe raat thak kar so gai
haan unhin logon se duniyaa mein shikaayat hai hamein
haan vahi log jo akasr hamein yaad aae hain
ye charaagh jaise lamhe kahin raaegaan na jaaein
koi khvaab dekh Daalo koi inqilaab laao
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gilaa bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi
vo baat apni jagah hai ye baat apni jagah