Shayari
lauTaa jab chaand bhi suraj bhi khasaaraa kar ke
ham ne chamkaa diyaa aangan ko sitaaraa kar ke
zakhm chup-chaap rahegaa to rafu bolegaa
tum mujhe qatl bhi kar do to lahu bolegaa
زخم چپ چاپ رہے گا تو رفو بولے گا
تم مجھے قتل بھی کر دو تو لہو بولے گا
ज़ख़्म चुप-चाप रहेगा तो रफ़ू बोलेगा
तुम मुझे क़त्ल भी कर दो तो लहू बोलेगा

lauTaa jab chaand bhi suraj bhi khasaaraa kar ke
ham ne chamkaa diyaa aangan ko sitaaraa kar ke
jahaan pe jhuuT hai nafrat hai be-imaani hai
vahin pe zindagi-bhar zindagi bitaani hai
ajiib baat hai us raat ki sahar na hui
kai charaag jale raushni magar na hui
rasm-e-duniyaa ke bayaabaan mein bichhaDne vaale
ishq-e-aavaara tujhe DhunDh rahaa hai ab tak
main shajar dekh ke Dar jaataa huun
is qadar dhuup ki aadat hai mujhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
main jo chup thaa hama-tan-gosh thi basti saari
ab mire munh mein zabaan hai koi suntaa hi nahin
sukut par bhi vo shaayad biThaaeinge pahre
sukut bhi to hai ik jurm guftugu ki tarah
aalam-e-hu mein kuchh aavaaz si aa jaati hai
chupke chupke koi kahtaa hai fasaana dil kaa
badan par aaj khaamoshi lapeTe
chalaa aaya sadaa hone se pahle
ajnabi shahr mein kuchh khauf saa mahsus huaa
oDh li main ne khamoshi se utaari hui raat