Shayari
jo raah ahl-e-khirad ke liye hai laa-mahdud
junun-e-ishq mein vo chand gaam hoti hai
khun-e-dil sarf kar rahaa huun 'ravish'
khuub se naqsh-e-khub-tar ke liye
خون دل صرف کر رہا ہوں روشؔ
خوب سے نقش خوب تر کے لیے
ख़ून-ए-दिल सर्फ़ कर रहा हूँ 'रविश'
ख़ूब से नक़्श-ए-ख़ूब-तर के लिए

jo raah ahl-e-khirad ke liye hai laa-mahdud
junun-e-ishq mein vo chand gaam hoti hai
koh sangin haqaaeq thaa jahaan
husn kaa khvaab taraashaa ham ne
hazaar husn dil-aaraa-e-do-jahaan hotaa
nasib ishq na hotaa to raaegaan hotaa
hazaar rukh tire milne ke hain na milne mein
kise firaaq kahun aur kise visaal kahun
vo shakhs apni jagah hai muraqqa-e-tahzib
ye aur baat hai ki qaatil usi kaa naam bhi hai
naqaab-e-shab mein chhup kar kis ki yaad aai samajhte hain
ishaare ham tire ai sham-e-tanhaai samajhte hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ke andar yuun chhupaa rakkhaa hai ik teraa khayaal
jaise ik biij mein poshida shajar rahtaa hai
ab aa gayaa huun to dil mein utaar lenaa mujhe
bulaa ke paas mujhe raaegaan na kar denaa
ho umr daraaz zakhm-e-dil ki
jis se dar-e-dil ko baaz paayaa
vo aankh kyaa jo aariz o rukh par Thahar na jaae
vo jalva kyaa jo diida o dil mein utar na jaae