Shayari
jo raah ahl-e-khirad ke liye hai laa-mahdud
junun-e-ishq mein vo chand gaam hoti hai
hazaar husn dil-aaraa-e-do-jahaan hotaa
nasib ishq na hotaa to raaegaan hotaa
ہزار حسن دل آرائے دو جہاں ہوتا
نصیب عشق نہ ہوتا تو رائیگاں ہوتا
हज़ार हुस्न दिल-आरा-ए-दो-जहाँ होता
नसीब इश्क़ न होता तो राएगाँ होता

jo raah ahl-e-khirad ke liye hai laa-mahdud
junun-e-ishq mein vo chand gaam hoti hai
koh sangin haqaaeq thaa jahaan
husn kaa khvaab taraashaa ham ne
hazaar rukh tire milne ke hain na milne mein
kise firaaq kahun aur kise visaal kahun
vo shakhs apni jagah hai muraqqa-e-tahzib
ye aur baat hai ki qaatil usi kaa naam bhi hai
sakht jaan-levaa hai saadgi mohabbat ki
zahr ki kasauTi par zindagi ko kasti hai
naqaab-e-shab mein chhup kar kis ki yaad aai samajhte hain
ishaare ham tire ai sham-e-tanhaai samajhte hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aag paani se bhaap uThti rahi
ham samajhte rahe mohabbat hai
'aarzu' be-asar mohabbat chhoD
kyuun kare kaam jab nahin aataa
fikr-e-sukhan talaash-e-maaash o khayaal-e-yaar
gham kam huaa to haan dil-e-be-gham se hovegaa
ishq kaa zauq-e-nazaara muft mein badnaam hai
husn khud be-taab hai jalva dikhaane ke liye