Shayari
jo raah ahl-e-khirad ke liye hai laa-mahdud
junun-e-ishq mein vo chand gaam hoti hai
vo kahaan dard jo dil mein tire mahdud rahaa
dard vo hai jo dil-e-kaun-o-makaan tak pahunche
وہ کہاں درد جو دل میں ترے محدود رہا
درد وہ ہے جو دل کون و مکاں تک پہنچے
वो कहाँ दर्द जो दिल में तिरे महदूद रहा
दर्द वो है जो दिल-ए-कौन-ओ-मकाँ तक पहुँचे

jo raah ahl-e-khirad ke liye hai laa-mahdud
junun-e-ishq mein vo chand gaam hoti hai
koh sangin haqaaeq thaa jahaan
husn kaa khvaab taraashaa ham ne
hazaar husn dil-aaraa-e-do-jahaan hotaa
nasib ishq na hotaa to raaegaan hotaa
hazaar rukh tire milne ke hain na milne mein
kise firaaq kahun aur kise visaal kahun
vo shakhs apni jagah hai muraqqa-e-tahzib
ye aur baat hai ki qaatil usi kaa naam bhi hai
naqaab-e-shab mein chhup kar kis ki yaad aai samajhte hain
ishaare ham tire ai sham-e-tanhaai samajhte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
soz-e-gham de ke mujhe us ne ye irshaad kiyaa
jaa tujhe kashmakash-e-dahr se aazaad kiyaa
ham gae the us se karne shikva-e-dard-e-firaaq
muskuraa kar us ne dekhaa sab gila jaataa rahaa
ab ai khudaa inaayat-e-bejaa se faaeda
maanus ho chuke hain gham-e-jaavedaan se ham