Shayari
umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzaara kam nahin hotaa
gham-e-hayaat se itni bhi hai kahaan fursat
ki teri yaad mein ji bhar ke ro liyaa jaae
غم حیات سے اتنی بھی ہے کہاں فرصت
کہ تیری یاد میں جی بھر کے رو لیا جائے
ग़म-ए-हयात से इतनी भी है कहाँ फ़ुर्सत
कि तेरी याद में जी भर के रो लिया जाए

umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzaara kam nahin hotaa
dil mein koi khushi nahin lekin
aadatan muskuraa rahaa huun main
tu miri baat kaa javaab na de
main samajhtaa huun khaamushi ki zabaan
mujhe bhi yuun to baDi aarzu hai jiine ki
magar savaal ye hai kis tarah jiyaa jaae
ab is maqaam pe laai hai zindagi mujh ko
ki chaahtaa huun tujhe bhi bhulaa diyaa jaae
jaltaa rahaa huun ziist ke dozakh mein umr bhar
ye aur baat hai miri koi khataa nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yaad-e-maazi gham-e-imroz umid-e-fardaa
kitne saae mire hamraah chalaa karte hain
jaane ye tu hai tiraa gham hai ki dil ki vahshat
jaanib-e-koh-e-nidaa koi bulaataa hai mujhe