Shayari
umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzaara kam nahin hotaa
dil mein koi khushi nahin lekin
aadatan muskuraa rahaa huun main
دل میں کوئی خوشی نہیں لیکن
عادتاً مسکرا رہا ہوں میں
दिल में कोई ख़ुशी नहीं लेकिन
आदतन मुस्कुरा रहा हूँ मैं

umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzaara kam nahin hotaa
tu miri baat kaa javaab na de
main samajhtaa huun khaamushi ki zabaan
gham-e-hayaat se itni bhi hai kahaan fursat
ki teri yaad mein ji bhar ke ro liyaa jaae
mujhe bhi yuun to baDi aarzu hai jiine ki
magar savaal ye hai kis tarah jiyaa jaae
ab is maqaam pe laai hai zindagi mujh ko
ki chaahtaa huun tujhe bhi bhulaa diyaa jaae
jaltaa rahaa huun ziist ke dozakh mein umr bhar
ye aur baat hai miri koi khataa nahin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ham mein baaqi nahin ab khaalid-e-jaan-baaz kaa rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz kaa rang
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa