Shayari
umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzaara kam nahin hotaa
jaltaa rahaa huun ziist ke dozakh mein umr bhar
ye aur baat hai miri koi khataa nahin
جلتا رہا ہوں زیست کے دوزخ میں عمر بھر
یہ اور بات ہے مری کوئی خطا نہیں
जलता रहा हूँ ज़ीस्त के दोज़ख़ में उम्र भर
ये और बात है मिरी कोई ख़ता नहीं

umr bhar tujh ko dekhne par bhi
zauq-e-nazzaara kam nahin hotaa
dil mein koi khushi nahin lekin
aadatan muskuraa rahaa huun main
tu miri baat kaa javaab na de
main samajhtaa huun khaamushi ki zabaan
gham-e-hayaat se itni bhi hai kahaan fursat
ki teri yaad mein ji bhar ke ro liyaa jaae
mujhe bhi yuun to baDi aarzu hai jiine ki
magar savaal ye hai kis tarah jiyaa jaae
ab is maqaam pe laai hai zindagi mujh ko
ki chaahtaa huun tujhe bhi bhulaa diyaa jaae
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
hayaat le ke chalo kaaenaat le ke chalo
chalo to saare zamaane ko saath le ke chalo
go umr bhar na mil sake aapas mein ek baar
ham ek dusre se judaa bhi na ho sake
gham-e-hayaat ne aavaara kar diyaa varna
thi aarzu ki tire dar pe subh o shaam karein