Shayari
shaakh-dar-shaakh tiri yaad ki hariyaali hai
ham ne shaadaab bahut dil kaa shajar rakkhaa hai
andhere ko nigaltaa jaa rahaa huun
diyaa huun aur jaltaa jaa rahaa huun
اندھیرے کو نگلتا جا رہا ہوں
دیا ہوں اور جلتا جا رہا ہوں
अँधेरे को निगलता जा रहा हूँ
दिया हूँ और जलता जा रहा हूँ

shaakh-dar-shaakh tiri yaad ki hariyaali hai
ham ne shaadaab bahut dil kaa shajar rakkhaa hai
vo chaand TuuT gayaa jis se raat raushan thi
chamak rahe the falak par jo sab sitaare gae
kahin aankhein kahin baazu kahin se sar nikal aae
andheraa phailte hi har taraf se Dar nikal aae
lafz le kar khayaal ki vusat
sher ki taazgi ki samt gayaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun