Shayari
kaise ho kyaa hai haal mat puchho
mujh se mushkil savaal mat puchho
khaali baraamdon ne mujhe dekh kar kahaa
kyaa baat hai udaas se kuchh lag rahe ho tum
خالی برآمدوں نے مجھے دیکھ کر کہا
کیا بات ہے اداس سے کچھ لگ رہے ہو تم
ख़ाली बरामदों ने मुझे देख कर कहा
क्या बात है उदास से कुछ लग रहे हो तुम

kaise ho kyaa hai haal mat puchho
mujh se mushkil savaal mat puchho
kuchh to apne liye bhi rakhnaa hai
zakhm auron ko kyuun dikhaaein sab
ham jo pahle kahin mile hote
aur hi apne silsile hote
zindagi is qadar kaThin kyuun hai
aadmi ki bhalaa khataa kyaa hai
ye alag baat ki vo mujh se khafaa rahtaa hai
main ik insaan huun aur mujh mein khudaa rahtaa hai
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil ho gayaa hai gham se tire daaghdaar khuub
phulaa hai kyaa hi josh se ye laala-zaar khuub
tumhein khayaal nahin kis tarah bataaein tumhein
ki saans chalti hai lekin udaas chalti hai