Shayari
zindagi bhar mujhe is baat ki hasrat hi rahi
din guzaarun to koi raat suhaani aae
kitne hi gham nikharne lagte hain
ek lamhe ki shaadmaani se
کتنے ہی غم نکھرنے لگتے ہیں
ایک لمحے کی شادمانی سے
कितने ही ग़म निखरने लगते हैं
एक लम्हे की शादमानी से

zindagi bhar mujhe is baat ki hasrat hi rahi
din guzaarun to koi raat suhaani aae
madrasa meraa meri zaat mein hai
khud moallim huun khud kitaab huun main
tu nahin to tiraa khayaal sahi
koi to ham-khayaal hai meraa
dar-ba-dar hone se pahle kabhi sochaa bhi na thaa
ghar mujhe raas na aayaa to kidhar jaaungaa
mujh ko kyaa kyaa na dukh mile 'saaqi'
mere apnon ki mehrbaani se
mein ab tak din ke hangaamon mein gum thaa
magar ab shaam hoti jaa rahi hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
havaa ki Dor mein TuuTe hue taare piroti hai
ye tanhaai ajab laDki hai sannaaTe mein roti hai
chuDiyaan kyuun utaar diin tum ne
subhein kitni udaas rahti hain
phailaa huaa hai jism mein tanhaaiyon kaa zahr
rag rag mein jaise saari udaasi utar gai