Shayari
dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqaa teraa
kabhi aati hai havaa bhi to chhupaa lete hain
jab dil pe chhaa rahi hon ghaTaaein malaal ki
us vaqt apne dil ki taraf muskuraa ke dekh
جب دل پہ چھا رہی ہوں گھٹائیں ملال کی
اس وقت اپنے دل کی طرف مسکرا کے دیکھ
जब दिल पे छा रही हों घटाएँ मलाल की
उस वक़्त अपने दिल की तरफ़ मुस्कुरा के देख

dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqaa teraa
kabhi aati hai havaa bhi to chhupaa lete hain
tujhe daanista mahfil mein jo dekhaa ho to mujrim huun
nazar aakhir nazar hai be-iraada uTh gai hogi
manzil mili muraad mili muddaaa milaa
sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa
khudaa aur naakhudaa mil kar Dubo dein ye to mumkin hai
meri vajh-e-tabaahi sirf tufaan ho nahin saktaa
dekhte hi dekhte duniyaa se main uTh jaaungaa
dekhti ki dekhti rah jaaegi duniyaa mujhe
chamak jugnu ki barq-e-be-amaan maalum hoti hai
qafas mein rah ke qadr-e-aashiyaan maalum hoti hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ishq ko naghma-e-ummid sunaa de aa kar
dil ki soi hui qismat ko jagaa de aa kar