Shayari
tire hi naam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai vird har ik subh-o-shaam aashiq kaa
dilaa us ki kaakul se rakh jama khaatir
pareshaan se haasil kab ik daam hogaa
دلا اس کی کاکل سے رکھ جمع خاطر
پریشاں سے حاصل کب اک دام ہوگا
दिला उस की काकुल से रख जम्अ ख़ातिर
परेशाँ से हासिल कब इक दाम होगा

tire hi naam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai vird har ik subh-o-shaam aashiq kaa
gale mein tu ne vahaan motiyon kaa pahnaa haar
yahaan pe ashk-e-musalsal gale kaa haar rahaa
aataa hai to aa vaada-faraamosh vagarna
har roz kaa ye lait-o-laal jaae to achchhaa
mere naale ke na kyuun ho charkh-e-akhzar zer-e-paa
khutba khvaan-e-ishq hai rakhtaa hai mimbar zer-e-paa
mushkil hai rok aah-e-dil-e-daaghdaar ki
kahte hain sau sunaar ki aur ik luhaar ki
puchhne vaalon ko kyaa kahiye ki dhoke mein nahin
kufr o islaam haqiqat mein hain yaksaan ham ko
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
toD kar kaabe ko masjid na banaao zaahid
khaana-barbaad kisi dil hi mein kar ghar paidaa
pechidgi-e-taba ki ye saaf hai dalil
maani ulajh ke rah gae un ke kalaam mein
ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa
jaan hai to jahaan hai dil hai to aarzu bhi hai
ishq bhi ho rahegaa phir jaan abhi bachaaiye