Shayari
kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
khvaahish se kab hai teri talab aarzu se hai
ik samt se nahin ye ghazab chaar-su se hai
خواہش سے کب ہے تیری طلب آرزو سے ہے
اک سمت سے نہیں یہ غضب چار سو سے ہے
ख़्वाहिश से कब है तेरी तलब आरज़ू से है
इक सम्त से नहीं ये ग़ज़ब चार-सू से है

kitaab-e-ishq mein saae kaa matlab
dar-o-divaar kaa saaya nahin hai
kabhi ye gham thaa ki samjhaa nahin koi ham ko
aur ab ye Dar ki kisi ne samajh liyaa hi na ho
judaai se ziyaada jaan-levaa
mohabbat mein mohabbat ki kami hai
husn aisaa thaa ki har ik aainaa kam paD gayaa
aaina kyaa umr bhar kaa dekhnaa kam paD gayaa
ye jahaan ek tamaashaa hai sabhi kahte hain
tum na hote to ise ham bhi tamaashaa kahte
dard thaa haijaan thaa par aankh mein aansu na the
jaise dil tak aate aate haadisa kam paD gayaa
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
naakhudaa Dubne vaalon ki taraf muD ke na dekh
na kareinge na kinaaron ki tamannaa ki hai
ye tamannaa hai ki ab aur tamannaa na karein
sher kahte rahein chup chaap taqaazaa na karein
khvaahishon ke peD se girte hue patte na chun
zindagi ke sehn mein ummid kaa paudaa lagaa
miri khvaahish hai duniyaa ko bhi apne saath le aauun
bulandi ki taraf lekin kabhi pasti nahin jaati
us ne bhi kai roz se khvaahish nahin oDhi
main ne bhi kai din se iraada nahin pahnaa