Shayari
aalam mein jis ki dhuum thi us shaahkaar par
dimak ne jo likhe kabhi vo tabsire bhi dekh
dard ke mausam kaa kyaa hogaa asar anjaan par
dosto paani kabhi ruktaa nahin Dhalvaan par
درد کے موسم کا کیا ہوگا اثر انجان پر
دوستو پانی کبھی رکتا نہیں ڈھلوان پر
दर्द के मौसम का क्या होगा असर अंजान पर
दोस्तो पानी कभी रुकता नहीं ढलवान पर

aalam mein jis ki dhuum thi us shaahkaar par
dimak ne jo likhe kabhi vo tabsire bhi dekh
dil saa anmol ratan kaun kharidegaa 'shakeb'
jab bikegaa to ye be-daam hi bik jaaegaa
rote hain dil ke zakhm to hanstaa nahin koi
itnaa to faaeda mujhe tanhaaiyon se hai
khud apni aag se shaayad gudaaz ho jaaein
paraai aag se kab sang-dil pighalte hain
ham-safar rah gae bahut pichhe
aao kuchh der ko Thahar jaaein
jo motiyon ki talab ne kabhi udaas kiyaa
to ham bhi raah se kankar sameT laae bahut
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham-e-jaanaan gham-e-dauraan ki taraf yuun aayaa
jaanib shahar chale dukhtar-e-dahqaan jaise
dil-sahraa mein ret sadaa uDti rahti hai
kab is se taa'mir koi darpan kartaa hai
ik safina hai tiri yaad agar
ik samundar hai miri tanhaai