Shayari
aalam mein jis ki dhuum thi us shaahkaar par
dimak ne jo likhe kabhi vo tabsire bhi dekh
rote hain dil ke zakhm to hanstaa nahin koi
itnaa to faaeda mujhe tanhaaiyon se hai
روتے ہیں دل کے زخم تو ہنستا نہیں کوئی
اتنا تو فائدہ مجھے تنہائیوں سے ہے
रोते हैं दिल के ज़ख़्म तो हँसता नहीं कोई
इतना तो फ़ाएदा मुझे तन्हाइयों से है

aalam mein jis ki dhuum thi us shaahkaar par
dimak ne jo likhe kabhi vo tabsire bhi dekh
dil saa anmol ratan kaun kharidegaa 'shakeb'
jab bikegaa to ye be-daam hi bik jaaegaa
khud apni aag se shaayad gudaaz ho jaaein
paraai aag se kab sang-dil pighalte hain
ham-safar rah gae bahut pichhe
aao kuchh der ko Thahar jaaein
jaati hai dhuup ujle paron ko sameT ke
zakhmon ko ab ginungaa main bistar pe leT ke
jo motiyon ki talab ne kabhi udaas kiyaa
to ham bhi raah se kankar sameT laae bahut
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dar kunj-e-sadaa-band kaa kholeinge kisi roz
ham log jo khaamosh hain boleinge kisi roz
koi rafiq baham hi na ho to kyaa kiije
kabhi kabhi tiraa gham hi na ho to kyaa kiije
na guftugu mein tasalli na khaamushi mein sadaa
suluk-e-dost kaa andaaz hi niraalaa hai