Shayari
yahaan pe kuchh bhi nahin hai baaqi tu aks apnaa talaash mat kar
miri nigaahon ke aaine ab ghubaar-e-furqat se aT gae hain
phir tujhe aur mujhe aur kahin jaanaa hai
ham-safar saath to chal jitni saDak baaqi hai
پھر تجھے اور مجھے اور کہیں جانا ہے
ہم سفر ساتھ تو چل جتنی سڑک باقی ہے
फिर तुझे और मुझे और कहीं जाना है
हम-सफ़र साथ तो चल जितनी सड़क बाक़ी है

yahaan pe kuchh bhi nahin hai baaqi tu aks apnaa talaash mat kar
miri nigaahon ke aaine ab ghubaar-e-furqat se aT gae hain
mujh ko ataa huaa hai ye kaisaa libaas-e-zist
baDhte hain jis ke chaak baraabar rafu ke saath
us ki bhi miri tarah thi ik apni kahaani
us ko bhi nibhaanaa paDaa kirdaar mujhe bhi
kyaa karun ai tishnagi teraa mudaavaa bas vo lab
jin labon ko chhu ke paani aag bantaa jaae hai
yaaro duaa karo ye koi haadsa na ho
pahle yuun intizaar mein lazzat kabhi na thi
kyaa kisi ummid par phir se dar-e-dil vaa karun
tujh se baDh kar khud bataa meraa shanaasaa kaun thaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ek naghma ik taaraa ek ghuncha ek jaam
ai gham-e-dauraan gham-e-dauraan tujhe meraa salaam
naghmon ki ibtidaa thi kabhi mere naam se
ashkon ki intihaa huun mujhe yaad kijiye
jo dard ki aam ho gayaa hai
vo dil ko haraam ho gayaa hai